Wo cheezain jin se roza nahi toot ta
(1) Bhoole se koi cheez kha pee lena. [Shami:7/390, aabu Maa Yufsidus Saum]
(2) Bhoole se hambistari kar lena. [Shami:7/390, Babu Maa Yufsidus Saum]
(3) Neend mein ehtelam ka hona. [Shami:7/396, Babu Maa Yufsidus Saum]
(4) Sar ya badan par tel ya koi marham wagaira lagana. [Shami:7/395, Babu Maa
Yufsidus Saum]
(5) Surma lagana, agarche us ka asar halaq mein mehsoos ho. [Shami:7/395, Babu Maa
Yufsidus Saum]
(6) Aankh mein dawa dalna, kaan mein pani dalna. (Kitab ulFatawa:3/398)
(7) Khushbu lagana ya soonghna. [Shami:7/474, Babu Maa Yufsidus Saum]
(8) Miswak karna. [Shami:7/481, Babu Maa Yufsidus Saum]
Wo cheezain jin se roza nahi toot ta
Note: Manjan aur toothpaste ka istemal karna makrooh hai aur agar uske ajza o zarrat
halaq ke neeche
utar gaye to roza toot jayega. (Fatawa Usmani:2/190)
(9) Apna thook ya balgam nigal lena. [Shami:7/413, Babu Maa Yufsidus Saum]
(10) Chane se kam koi cheez daant mein phansi hui thi, use munh se nikale bagair nigal
lena.
[Shami:7/398, Babu Maa Yufsidus Saum]
(11) Makkhi, dhuwan, ghubar ya aata udh kar halaq mein baghair irade ke chala jana.
[Shami:7/394,
Babu Maa Yufsidus Saum]
(12) Khud bakhud qaye hona, khah munh bhar kar ho. [Shami:7/416, Babu Maa
Yufsidus Saum]
(13) Jan boojh kar munh bhar se kam qaye karna. (Kitab ul Masail:8/376)
(14) Qaye ka khud ba khud halaq mein laut jana. [Shami:7/416, Babu Maa Yufsidus
Saum]
(15) Badan se khoon nikalwana. [Shami:7/397, Babu Maa Yufsidus Saum, Ahsanul
fatawa:4/425]
Note: Khoon ka test karwana, khoon chadhana. (Ramazan aur Jadeed Masail:10/178)
(16) Glucose chadhana. [Fathul Qadeer:2/330, Babu Maa Yujibul Qaza, Kitab ul
Fatawa:3/391]
(17) Injection lena. [Shami:7/395, Babu Maa Yufsidus Saum,Ahsanul Fatawa:4/422]
(18) Insulin lena ya dialysis karwana. (Ramazan aur Jadeed Masail:10/178)
(19) Baal ya nakhun katna. (Kitab ul Fatawa:3/384]
(20) Dakar aane se roza nahi toot ta agarche zayeqa bhi uske sath aajaye, jab aisi dakar
aye ke zayeqa
andar se bahar ajaye to thook de, us zayeqa ko andar na le jaye. (Fatawa
Mahmoodiya:22/366)
(21) Gusl karna ya sar par rumal ya kapda bhigokar dalna. (Fatawa Darul Uloom
Deoband:6/285)
(22) Peshani, gardan, gale ya naak ke zaheri hisse par vicks ya zandu balm lagana.
(Kitab ul
Fatawa:3/394)
(23) Mard ke peshab ke raaste mein dawa ya tel dalna ya aurat ka apni berooni
sharmgah mein dawa
lagana is shart ke sath ke dawa andarooni sharmgah tak na pahuchi ho. (Ahsanul
Fatawa:4/448,
Ramazan aur Jadeed Masail:150)
(24) Oxygen lagana albatta agar us mein dawa waghaira mili ho to roza toot jayega aur
qaza lazim
hogi.(Fatawa Usmani:2/180)
(25) Daant nikalwana albatta uski wajah se agar khoon thook ke sath mil kar zyada
miqdar mein ya
thook ke barabar miqdar mein halaq ke neeche utar gaya ya halaq mein khoon ka maza
mehsoos hua to
roza fasid ho jayega. (Ahsanul Fatawa:4/436)
(26) Amraz e qalb mein jo goli sirf zaban ke neeche dabane ki hoti hai halaq ke neeche
utari nahi jati,
us se roza nahi toot ta lekin agar dawa ke ajza thook ke sath mil kar halaq ke raaste se
andar chale
jayein to roza toot jayega. (Ramazan aur Jadeed Masail:126)
(27) Munh ya maqad ke raaste se koi aala ya nilki ka ek sira andar dakhil kiya gaya ya
marz ki tahqeeq
ke liye rahem tak koi aalaa pahuchaya gaya aur us par koi dawa ya pani laga hua na ho
to roza faasid
nahi hota aur agar us par dawa ya pani laga ho ya ek dafa bahar nikaal kar khushk kiye
baghair use
dobara dakhil kiya gaya ho to roza faasid ho jayega. (Ahem fiqhi faisle:87, Ramazan aur
Jadeed
Masail:145-195)
(28) Roze ki haalat mein dimag ya pet ka operation ho aur andar se kuch na nikaala
gaya, dawa
waghaira bhi dali na gayi to us se roza fasid na hoga. (Ramazan aur Jadeed Masail:126)
(29) Roze ke haalat mein jism ke kisi aur hisse ka operation ho aur us hisse se dimag ya
pet tak koi asli
raasta nahi hai to us se roza fasid na hoga khah dawa andar dali gayi ho. (Ramazan aur
Jadeed
Masail:126)
(30) Masodhon se khoon nikal kar halaq mein dakhil ho to uski do suratein hain: (1)
khoon ki miqdar
kam hai aur thook ghalib hai to roza fasid nahi hoga (2) khoon ki miqdar zyada hai yani
thook par
ghalib hai to roza fasid ho jayega lekin Allama Shamii farmate hain ke agar khoon
nikalne ki kaifiyat,
aisi ho ke bachna mumkin na ho to us surat mein roza fasid na hoga jaisa ke qaye khud
ba khud laut
jaye.(Fatawa Darul Uloom Zakariya:3/296, Kitab Ul Fatawa:3/397)
(31) Nakseer phoot gayi aur uska asar thook mein bhi paya gaya (magar khoon halaq se
neeche nahi
utra) to us se roza fasid na hoga.(Fatawa Darul Uloom Deoband:6/258, Ahsanul
Fatawa:4/448)
0 Comments