Kaffara kab wajib hota hai?
Qaza ke sath kaffara teen baton ke paye jane se wajib hota hai:
(1) Ramazan ka mahina ho.
(2) Roza rakhne ke baad baghair uzr ke roza tod diya ho.
(3) Roza yaad hote hue hambistari kar li ya aisi cheez kha li ya pee li jo aam taur par log
khate peete hain.
(Agar aisi cheez kha li jis ko aam taur par log nahi khate hain, jaise kankar, mitti,
kaghaz waghaira, to us
se roza toot jayega, Magar kaffara wajib na hoga). [Shami:7/448-449, Babu Maa
Yufsidus Saum]
Masla: Kisi ne bhool kar koi cheez kha li, phir ye samajhte hue ke roza toot chuka hai,
khana peena shuru
kar diya to roza toot jayega lekin kaffara wajib nahi hoga. [Shami:7/418, Babu Maa
Yufsidus Saum]
Roze ka kaffara
(1) Ek gulam aazad karna.
(2) Agar ghulam aazad na kar sake, to do mahine ke lagatar roze rakhna.
(3) Agar us ki bhi taqat na ho to 60 miskeenon ko do waqt pet bhar kar khana khilana,
ya har miskeen
ko Sadqa-e-Fitr ke baqadr galla (pone do kilo gehun (wheat): 1¾ kg) ya us ki qeemat
dena.
[Shami:7/457, Babu Maa Yufsidus Saum]
Tambeeh: Ramazan Shareef mein agar kisi ka roza toot jaye, to sham tak khane peene
se ruke rehna
wajib hai, isi tarah agar musafir din mein apne ghar ajaye ya nabalig ladka balig ho jaye
ya uzr wali
aurat ka uzr khatm ho ajaye, to un logon ko bhi sham tak rozedaron ki tarah khane
peene se ruke rehna
wajib hai. [Badaye Us Sanaye:2/102, Hukm us Saum ul Waqt]
Azar do qisam ke hain: (1) Dayemi (2) Aarzi
Dayemi: Wo uzr jo mout tak baqi rahe, jaise shaikh e fani (bahot zyada budha) aur
aisa
marz jis ke
sahetyab hone ki ummeed na ho, in dono par apni zindagi mein roza na rakhne ke ewaz
mein fidya
dena wajib hai, aur agar zindagi mein fidya ada nahi kiya, to mout ke waqt wasiyyat
karna wajib hai.
(Shami:8/6-7, Fasl fil Awariz Al Mabiha)
Aarzi: Wo azaar jo khatm ho jaya karte hain, jaise marz, safar, hamal waghaira, aise
uzr ke khatm hone
ke baad in rozon ki qaza wajib hai, fidya dena kafi na hoga aur agar waqt milne ke ba
wajood roze qaza
nahi kiye yahan tak ke mout ka waqt aa pahuncha, to ab fidye ki wasiyyat karna wajib
hai, agar aise
uzr ke khatm hone se pehle mout agayi to fidya ki wasiyyat wajib nahi hogi.
(Shami:7/497, Fasl fil
Awariz Al Mabiha)
0 Comments