Roze ki Niyyat
Roze ke sahi hone ke liye niyyat shart hai, roze ki niyyat ye hai ke apne dil mein Allah
Tala ki raza hasil
karne ke liye roza rakhne ka irada kare, zaban se kehna zaroori nahi. (Shami:7/341,
Kitab us Saum]
Ramazan ul mubarak ke har roze ke liye alag alag niyyat karna zaroori hai, niyyat chahe
raat mein kar le
ya adha din (sharee) se pehle kar le. (Hindiya:1/195) Ramazan shareef ke qaza rozon,
nafil roze todne ki
bina par unki qaza ke taur par wajib hone wale rozon aur kaffare ke rozon mein subah sadiq se pehle hi
niyyat kar lena zaroori hai, agar subah sadiq ke baad in rozon mein se kisi roze ki niyyat
karega to wo
roza ada na hoga, Albatta ye ek nafil roza ho jayega aur nafil roze ka sawab mil jayega.
[Shami:7/341-
342, Kitab us Saum] Kisi ne roze ki niyyat karli magar abhi sehri ka waqt baqi hai to us
ke liye sehri ka
waqt khatm hone tak khane peene ki ijazat hai. (Kitab ul Masail:2/147)Sehri khana
sunnat hai lekin
agar koi shakhs sehri khaye baghair hi roze ki niyyat karle to bhi uska roza durust ho
jayega albatta
sehri ki barkat se mehroom rahega. (Badye us Sanaye:2/266, Hindiya:1/195-196)
Ramazan shareef aur
sunnat o nafil rozon ki niyyat ka waqt guroobe-aaftab se le kar aadhe din tak hai,
Albatta subah sadiq
se pehle hi niyyat kar lena afzal hai. Lihaza agar koi shakhs sehri ka waqt khatm hone
ke baad neend se
bedaar hua to wo bhi baghair khaye piye roza rakh sakta hai. (Shami:7/332, Kitab us
Saum]
Note: Aadhe din se muraad subah sadiq se guroob-e-aaftaab tak ka ؓؓdhؓ din hؓi, Jisko
“Zؓhwؓ-e-Kubrؓ” bhi
kehte hؓin, Misؓؓl ke tؓur par agar 6 baje (6am) subah sadiq ho aur 6 baje (6pm) guroob-
eaaftab ho, to
pura din 12 ghante ka hoga aur aadha din 12 baje hoga. [Shami:7/335, Kitab us Saum]
0 Comments